strategy for ukpcs lower exam by Vikas Awasthi

VIKAS AWASTHI
Civil engineering graduate. 2013
10th- GOVT inter college genola uttarkashi
12th- govt inter college geonla uttarkashi
31th rank in naib tehsildar and

5th rank in ARO Secretariat

strategy for ukpcs lower exam  by Vikas Awasthi

Apni taiyari se judi kuch baate aapse share krna chahta hu.

Regarding RO exam
Sbse phle mai RO EXAM ki baat krunga. 3 stage me hone wala ye starting se final hone tk 2-3 years ka time leta hai. To samjh skte hai ki kitna dhairya chahiye hoga.
Prilim exam jo objective nature ka hota h. Uske liye maine general study ke liye standard text book ki deep study ki sath hi uttarakhand ke general study ke liye PARIKSHAVANI Ka adhyan kia. Aur exam ke nazdik aate hi sb kuch 5-6 time revise kiya. Currentaffair ke liye maine pratiyogita darpan ku monthly magazine ki help li. Ye sab Counituity me form fill krne se exam ki date tk kiya.
Prilim me aapke knowledge ka area thoda broad hona chahiye aur maximum cheeze cover karni hoti hai daily effective 4-5 hours sufficient ho jate hai..
Prelim clear krne ke baad RO main exam ke liye hard work jyda krna hota hai because prilim ke jaisa ek objective paper hota hai jiske marks aapke selection me kaafi help krte hai. To prilim paper ke liye jo Strategy bnai thi wo continue karke apko essay and letter writing ke liye bhi time nikalna hota hai.. Essay ke liye aap daily ek essay likh ke practice kar skte ho aur letter writing syllabus ke according aap koi ek book leke preparation kar skte ho. Iske liye aap apna essay aur letter writing ko kisi se evaluate krwa sakte hai. Jo aapko aapki weak points ko sahi krne me help kre.
Mera essay ka medium hindi tha to maine news paper ke editorial ko daily padhta tha jis se mujhe kaafi help mili aur sath hi essay writing ki practice bhi daily krta tha. General hindi ki taiyari maine previous years papers ki practice se ki.
Mains clear krne ke baad next computer aur typing ka exam hota hai jo qualifying nature ka hota hai but clear krna jaroori hota hai. Typing ke liye hum mains exam dene ke baad hi practice start kr skte hai. Mains selection ko positive lete huye maine mains exam dene ke kuch din baad hi typing seekhi aur 2-3 months me achi accuracy and speed aa jaati hai.
Mains exam ke liye ek factor jisne mere selection me important role play koya wo MISHRA SIR KI GUIDANCE AUR SAMVEG IAS KI TEST SERIES. Test series dene se aapko essay likhne ki timing aur apni practice ki actual analysis mil jaati hai sath hi apne weak points bhi pta chlte hai. Aur jb mains me appear hote hai to ek Confidence sath le ke apaar ho skte hai. Main thanks krna chahunga SAMVEG IAS ka jaha se mujhe ek alag Confidence mila ki i can do it.

Uttarakhand Lower PCS exam
.. Lower PCS ki preparation :prilims ki to RO prilim ke jaisi hai but mains me thoda change ho jati hai GS wale paper me knowledge ka scope thoda broad hai. Uske liye deep study ki jarurat hoti hai.

20 question- 10 marks each– to time management ka bhi dhyan rkhna hota hai. Sbse best solution es problem ka mock test ka hai. Jisme aapko question ka nature bhi pta chal jata hai aur time management ka bhi.
Maine iske liye SAMVEG IAS ME MOCK TEST DIYE, jis se mujhe bahut help mili aur Confidence bhi develope hua..
Mains clear krne ke baad interview ke liye maine khud se question banana start kiya jisme apne baare me apne district ke baare me aur apne graduation ke subject civil engineering ke baare me question banaye. Aur luckily mujhe interview board me civil engineering ke baare me pucha gaya jiska answer maine Confidence ke sath diya.
SAMVEG IAS KE INTERVIEW GUIDANCE PROGRAM ME MAINE 2 MOCK INTERVIEW DIYE JIS SE KAAFI HELP MILI AUR HESITATION DOOR HUI BECAUSE AGER HUM FIRST TIME INTERVIEW FACE KARTE HAI TO
Nervousness HOTI HAI ,JO GENUINE HAI. MOCK INTERVIEW DE KE HI HESITATION KO DOOR KIA JASKTA HAI.

…………………………………………………………………….. Exam ki preparation ki baate to yahi tak hai but us se bhi jyda important hota hai ki hum kaise es selection ki ek lambi process me positive optimistic and alive rkhte hai. Because humare raste me kai obstacles aa sakte hai jinse hume paar pana hota hai.

Apna dhairya bnaye rkhna aur lagatar race me bane rehna bahut bada challenge hai. Self motivated rehna aur goal pe focus krna ye bahut jaroori hota hai.
Ye sab hamari internal energy se develope hota hai.
Problem person to person vary karti hai but ager aapme hausla hai to aap jaroor apna lakshya haasil kroge.
THANKS TO
SAMVEG IAS